Wednesday, November 18, 2009

kabhi aansoo,kabhi siski,kabhi matam utha laaya

kabhi aansoo,kabhi siski,kabhi matam utha laaya
khuda jaane kahan se yeh jahan ke gham utha laaya


kabhi jazbaat ke tukre kabhi ghamnaak tariki
kabhi ashkoon mein dooba jazba e barham utha laaya


kissi masoom bache ki nigahoon mein chalakti thi
chupa ke apni palkoon mein wohi shabnam utha laaya


kissi be bas ki faryadeen kissi masoom ki siski
issi dard o alam ki souz ki sargam utha laaya

qamar meri tamana thi nigah e yaar mil jaati
magar pagla yahan bi eik chashm e nam utha laaya
kabhi aansoo,kabhi siski,kabhi matam utha laayaSocialTwist Tell-a-Friend

No comments:

Post a Comment